top of page
To Read online click on the Title Page

To listen audio & download in brief aspect from the book:

Aaj ke jadeed taraqqi yaafta daur mein humaare talbaa aur taalebaat ko Deeniaat aur Akhlaaqiat ki ta’leem schools mein muhiya nahi hai. Nateejatan hamaare bachche Akhlaaqiat/maa’shirati weakness se do chaar nazar aarahe hain. Yeh waba aam hoti jaa rahi hai aur bachcheon ki zindagi mein aman aur sukoon ki barqaraari mushkil maslaa ban gayi hai. Lihaaza deeniaat aur aklaaqiat ka ibtedaae nisaab murattib karne ki ahmiat –o-zuroorat mehsoos ki gayi hai.

Is kitaab mein Deeniaat aur Aklhaaqiat ke mazaameen ko ekjaa [combine] kar diya gayaa.  Pehle chaar hisson(parts) mein Deeniat ke mazaameen ko bayaan kiya gaya, aur baaqi chaar hisson mein akhlaaqiat ke ahem mazaameen ko shamil kiya gaya hai jo nihaayat sehl aur sabq aamos misaalon par mabni hain.

 

Deeniat [Religious Ethics]-o- Akhlaaqiat [Moral Ethics]:

 

Deeniat [Religious Ethics] ke hisson [parts] mein bachchon ke liye hasb-e-zail mouzooaa’t nihayat aasaan andaaz main bayaan kiye gaye hain:

Eemandaari [Faithfulness], Maan Baab ki Khidmat (service to parents) aur unka Adab [Care & Respect of Parents], Sachai [Truth], Safaai aur Tahaarat [Cleanliness and sanctity], Rishtedaaron ke huqooq [Rights of Relatives], Padosiyon ke huqooq [Right of Neighbors], Hamdardi [Sympathy/Cooperation], Sakhaawat [Charity], Amaanat daari [Trustworthiness], Raast Baazi [Truthfulness] aur A’fu [Forgiveness], Eefaa-e-Ehd [Fulfilment of Promises] jaise zuroori mouzooaa’t [topics] nihaayat  sehl zabaan mein samjhaye gayein hain.

Deeniat ke chaar hisse 1-52 safaat par jumlaah 56 sawaalaat-o-jawaabaat par mabni hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.

 

Akhlaaqiat [Moral Ethics] ke chaar hisson [parts] mein bachchon ke liye hasb-e-zail mouzooaa’t nihayat aasaan andaaz main shamil kiye gaye hain:

Ustaad ki Izzat [Resptect of Teacher], Sachai [Truth], Isteqlaal [Perseverance], Kifaayat Shi’aari [thrift or economy], Ittefaaq [Amity], Mehnat [Diligence], Ukhoowwat [Fraternity], Shujaa’at [Bravery], Guroor [Pride], Eesaar [Sacrifice], Hasad [Jealousy] aur Saadah Zindagi [Simple life] jaise zuroori mouzooaa’t [topics] nihaayat  sehl zabaan mein samjhaye gayein hain.

Akhlaaqiat ke chaar hisse 53-104 safaat par jumlaah 56 sawaalaat-o-jawaabaat par mabni hai. Is mein hasb-e-zuroorat angrezi alfaaz ka bhi iste’maal kiya gaya hai, taake qaaraeen ko samajhne mein asaani ho.

The complete book can be viewed and downloaded by clicking on the following PDF icon:
bottom of page