top of page
Following are the volumes of the series "Basic Course on Virtuous Ethics for Children"
Taheed o Risalat.JPG

Book & Audio

Arkaan e Deen.JPG

Book & Audio

Asaan ilm Tajweed.JPG

Book & Audio

Zamaane Haazira [present scenario] mein jadeed taraqqi [modern development] ke parde [pretext]  mein hum apne bachon (kids) ko deeniat aur akhlaaqiat [Religious Values and Etiquettes] ke giraan-khadar zewar [valuable ornaments] se aaraasta [decorate] karne ke ahem mansab [duty] par koi tawajjo nahi dete. yahi kuch haal maujooda tamaam qaumon aur hukoomaton ka bhi hai. chunanche aaj ke daur ka bachcha ya bachchi go ke asri ta’leem [modern education] se bairaawar [privileged] toh zuroor ho raha hai magar us mein Deeniyat aur Aqlaaqiat ka fuqdaan [shortcomings] hain. Natija yeh hai ke talbaa wo taalebaat [students] har waqt ehsaas-e-kamtari [inferiority complex] ya phir ehsaas-e-bartari [superiority complex] jaisi kamzoriyon ka shikaar ho kar itminaan-e-qalb [peace of mind] kho baithte hain aur basaa auqaat [often] maayoosi [distress] ka shikaar bachche (boys/girls) khud kushi [suicide] ya zulm-o-sitam aur loot khasot [oppression & exploitation] jaisi maa’shirati beemariyon [social diseases] se do chaar hote (involve) hote nazar aarahe hain. Yeh waba [hostile attitude] aam hoti jaarahi hai aur aman aur sukoon [peace & tranquility] ki barqaraari mushkil masla ban gayi hai.

Lihaaza Deeniyaat aur Akhlaaqiat ka ibtedaai nisaab murattib karne ki ahmiat-wo-zurooriat mehsoos ki gayi. Anthak koshish [untiring effort] aur lagan se Bahamdulillah in ki chaar (4) Jildon (kutubs) ki shakal mein takmeel paayi, jo hamaari dereena justaju aur aarzoo [prolonged anticipation]  rahi thi.

Chunke yeh kutub jadeed tarz [modern approach] say, sawaal-o-jawaab par mabni hain, in ko bachchon ne pasand kiya aur badon ne sahaara [appreciate] aur bahut maqbool hui.

Yeh kutub ek lihaaz se bachchon aur badon dono ke liye mufeed hain, in ki khusoosiat yeh hai ke in mein aqaaed [belief] aur aam fiqha [general Islamic Law] ke masaael [issues] ke alaawa sarwar-e-kaaenaat Huzoor-e-Akram r ki seerat-e-tayyiba, doosre Rasoolon [u], Saahbaa karaam aur Akaabir-e-Islaam [Awliyaa wa Aaimma] ke purkaif waaqiat [inspiring events] maujood hain. Neez insaani akhlaaq-wo-kirdaar ke nashonumaan [uplifting] ka saaman-wo-tafseelaat, jin se bachchon ki fitrat par acha asar murattib hota hai. Un ke istedaa’di madaarij [capabilities & standards] ka lihaaz karte hu hazb-e-zaroorat darj kiye gaye hain. Aese masaael qasdan tark [purposely avoide] kardiye gaye hain jin ka jaanna bachchon ke liye qablaz waqt [premature] ho.

In kutub ke murattib karne mein Nisaab-e-Risaal-e-Deeniyaat muratteba, majlis sarishtae taa’leemat Hyderabad, Deccan [Dept. of Education in the erstwhile Hyderabad] se istefaadah kiya gaya, jis ke membaraan mein mere Murshad Behrul Uloom Maulana Mohamaad Abdul Qadeer Siddique, [Rahmatullah Alaih] shaamil rahe. Aap saabiq professor-wo-sadr sho’bae deeniyat Osmaania University [Former Professor and Head of the Dept. of Theology at Osmania University] teh. Is ke alaawa deegar musannad [authentic] kutub se bhi istefaadah [help] kiya gaya.

Alhamdulillah, ibtedaai Nisaab-e-Deeniyaat-o-Akhlaaqiaat baraae bachchon ko hasbe zail chaar jildon mein shaa’e [publish] kiya gaya:

1- Tauheed-o-Risaalat [Hisse Awwal ta chaarum – Jumla 104 sawaalat-o-jawaabat par mushtamil]

2- Deeniyat–wo-Akhlaaqiat [Hisse Awwal ta chaarum – Jumla 114 sawaalat-o-jawaabat par mabni]

3- Arkaan-e-Deen [Hisse Awwaal ta chaarum – Jumla 120 sawaalat-o-jawaabat] par mabni]

4- Aasaan Ilm-e-Tajweed-e-Qur’an [Hisse Awwaal  panjum 112 safhat par mabni]

bottom of page